Translate

Sir-e-sina jo tilawat mei.n baat karte hain

Sir-e-sina jo tilawat mei.n baat karte hain
Hussain apni hi shariyat mein baat karte hai.n

Mere qabiile ke bachho.n ko be-zuba.n na kaho
Ye sab zaban-e-shahadat mei.n baat karte hai.n

Ajal bhii ho sawaalii to warisan-e-Ali
Hamesha apni sakhawat mein baat karte hai.n

Ye sab aa.nsu hi ban ke ashq-e-azaa
Ali ke lehja-e-kharbat mei.n baat karte hai.n

Khuda ka deen na mitega jo kah rahe hai.n Rasool
Hussain teri zamanat mei.n baat karte hai.n

Samajh lo dekh ke Fizza ko Ahl-e-Baiit hai.n kaun
Wok is faza-e-taharat mei.n baat karte hai.n

Imam kaun? Farishtey jo poochhte hai.n Naseem
Ye sab Ali ki muhabbat mei.n baat karte hai.n


posted by: zaigham murtaza

1 comment:

  1. apne qadmo pe dono jahan rakhte hain,
    ek qadam yahan ek wahan rakhte hain
    mol sajde ke liye lete hain maqtal ki zamin
    hum jabin ghair ki mittii pe kahan rakhte hain

    : Nazeer Baquiri

    ReplyDelete

Teeragi ko koii to diyaa chahyiye
yani har ek daur ko Karbala chahyiye

Dr. Naseem uz Zafar