Translate

Bhool Baitha kya ghuroor-e-zulm wo azm-e-safar


Bhool Baitha kya ghuroor-e-zulm wo azm-e-safar
Har qadam par anblo.n se poochhna zanjeer ka
Kaiinaat-e-sabr saari aa chukii zer-e-qadam
Kya safar baaqi haii ab bhii Abid-e-dilgeer ka

Keh ut.the chaudah muezzin ash’udan la ilah
Zulm muh takne laga Sajjad kii taqreer ka
Ke, ab se pahle kya kisii saffaq ne socha bhii tha
Sir kuchhal jaega ek a.nsoo hare k shamsheer ka

Shah ne Jehad-e-nafs ka manzar bana diia


Shah ne Jehad-e-nafs ka manzar bana diia
Mazloomiiat samet kar lashkaer banaa diia

Zainab ka khutba Na’ade Ali se to kam nahii
Bait ke sab khudao.n ko patther banaa diia

Zainab ki tarbiyat sab-e-ashur thii ajeeb
Bachho.n ko rat bhar me hi Haider bana diia

Ye dast’rez ye faiiz ye qud’rat Hussain kii
Jo ban’na chahte the bahatter banaa diia

Shah ne bahatter admi chun kar hare ek ko
Rah-e-baqa me meel ka patther bana diia

Zainab kii majise.n hai.n ke Zainab ke mauj’za
Qaidiyo.n ke ashq ashq ko khanjer banaa diia

Darbaar me jo jashn the qatl-e-Hussain kaa
Zainab ne jasn-e-marg-e-sitamger banaa diia

Sakina mat rona

sakeena mat rona
sakeena mat rona

deti hai lori zainab e muztar
aii meri pyari aii meri dilbar
soja sir aghosh me rakh kar
gham se jaan na khona sakina...............

zid na karo ab kehna mano
maa ki god ghanimat jaano
taur yateemi ke pehchano
khak pe seekho sona sakina........................

kaan hai zakhmi dukha hua man
phool se aariz neel hain roshan
jala hua kurte ka daaman
ashqon se jaan na khona sakina............

shame e ghariban sir pe khadi hai
beta ye aafat ki ghadi hai
larzish jo maqtal me padi hai
sab se juda hai hona sakina.............

tum bhi naseem ab do ye tasalli
sabir baap ki saabir beti
aap ka kaam nahi hai bibi
ashqo.n se daaman bhigona

loria.n deti hai maa

loria.n deti hai maa
so ja mere bezaba.n
ae mere tashna dahn
hay mere bezaba.n

aii mere aaram e jaan aii mere ghuncha dahen
chain se soja meri god me ae gulbadan
or hai ek shab ki baat kal subha padna hai run
phir kahan ye maan ki god phir kahan ye anjuman

loriyan detii hai maa
hay mere bezaban

yaad rahe aan baan subha ko jab run pade
jaan bhi jaae magar baat na ghar ki mite
khauf na khana zara teer e sitam jab chale
lab pe tabassum rahe muh me angutha rahe

loriyan deti hai maa.....................

sher ke bete ho tum nasl ho Jarrar ki
aao kahani suno Jafer-e-Tayyar ki
yaad shujayat rahe Haider-e-Karrar ki
jung ki doon lorian, lorian talwar ki

lorian deti hai maa...................

aan pada hai jo aaj ghairat-e-haq ka sawal
run me dikhana hai kal tumko Ali ka jalal
baap ka maqsad magar ho na kahi paymaal
jab pade gardan pe teer rukh pe na aaye malal

loriayan deti hai maa.n...................

kheme ke dar par khadi dekhegi maa raasta
laut'ta hai kis tarha run se ye bachha mera
baap ka fidya bana faqr ho maa ko siwa
khu.n me naha kar ke aao shukr e khuda ho adaa

lorian deti hai maa.......................

loriyo.n me raat bhar maut ki daawat rahi
subha talak aii Naseem ek nasiihat rahi
maut ka dar ho to kya jeene ki qeemat rahi
jurm hai jeena agar khud ki na izzat rahi

lorian deti hai maan
hai mere bezaban
aii mere tashna dahan
hai mere bezaban

posted by: zaigham murtaza

Sir-e-sina jo tilawat mei.n baat karte hain

Sir-e-sina jo tilawat mei.n baat karte hain
Hussain apni hi shariyat mein baat karte hai.n

Mere qabiile ke bachho.n ko be-zuba.n na kaho
Ye sab zaban-e-shahadat mei.n baat karte hai.n

Ajal bhii ho sawaalii to warisan-e-Ali
Hamesha apni sakhawat mein baat karte hai.n

Ye sab aa.nsu hi ban ke ashq-e-azaa
Ali ke lehja-e-kharbat mei.n baat karte hai.n

Khuda ka deen na mitega jo kah rahe hai.n Rasool
Hussain teri zamanat mei.n baat karte hai.n

Samajh lo dekh ke Fizza ko Ahl-e-Baiit hai.n kaun
Wok is faza-e-taharat mei.n baat karte hai.n

Imam kaun? Farishtey jo poochhte hai.n Naseem
Ye sab Ali ki muhabbat mei.n baat karte hai.n


posted by: zaigham murtaza

Shaakh-e-neza par khilaa kar phool ek inkaar ka

Shaakh-e-neza par khilaa kar phool ek inkaar ka
Zulm se kah de ke ab mausam gaya talwar ka

Hil gayii har mauj-e-darya chehra dekh kar jarrar ka
Aks paani se nahii sa.nbhla alambardar ka

Ab koii karta nahi hamse baiit ka sawal
Tajruba hai tegh-e-qatil ko bahattar baar ka

Hazrate-Ayyub raahe imtaha.n mei.n chaunk utthe
Shore hai aage ye kis zanjeer ki jhankaar ka

Sir qalam karne ka daawa thaa tujhe tegh-e-sitam
Ab saamna kartii nahii kyon ansuo.n ke waar ka

Karbala ka zikr hum karte rahenge aii Naseem
Dekein jhukta nahii sir kab tak har talwar ka

Andhii.on ko kya khabar thii maujza ho jaega

Andhii.on ko kya khabar thii maujza ho jaega
Shakh-e-neza par bhii raushan ek diia ho jaega

Sayaa roomal-e-Zehra sir pe kya ho jaega
A.nbiia se aage ek ashq-e-aza ho jaega

Karbala le jae.nge mujh ko mere ashq-e-azaa
a.nkho a.nkho mei.n khatm saara faasla ho jaaega

dekhna pahu.nchenge jab mahshar mei.n hum ahll-e-aza
naam jannat ka bhii rasman Karbala ho jaega

zulm kii auqaat hi kya had se gar aage badhe
Saiyed-e-Sajjad ki zanjeer-e-paa ho jaega

Kya thii aamad ek raat me kya kar gaya ishq-e-Hussain
Hur ko dekhega to haira.n aiinaa ho jaega

Maao.n se kah do bachho ko sunaei.n Karbala
Warna har insaan ek din hurmala ho jaega

Ek sajda a.nso.n ke musalle par bhii Naseem
Kam se kam kuchh bandagii ka haq adaa ho jaega

posted by zaigham murtaza

Andhii.on ko kya khabar thii maujza ho jaega

Andhii.on ko kya khabar thii maujza ho jaega
Shakh-e-neza par bhii raushan ek diia ho jaega

Sayaa roomal-e-Zehra sir pe kya ho jaega
A.nbiia se aage ek ashq-e-aza ho jaega

Karbala le jae.nge mujh ko mere ashq-e-azaa
a.nkho a.nkho mei.n khatm saara faasla ho jaaega

dekhna pahu.nchenge jab mahshar mei.n hum ahll-e-aza
naam jannat ka bhii rasman Karbala ho jaega

zulm kii auqaat hi kya had se gar aage badhe
Saiyed-e-Sajjad ki zanjeer-e-paa ho jaega

Kya thii aamad ek raat me kya kar gaya ishq-e-Hussain
Hur ko dekhega to haira.n aiinaa ho jaega

Maao.n se kah do bachho ko sunaei.n Karbala
Warna har insaan ek din hurmala ho jaega

Ek sajda a.nso.n ke musalle par bhii Naseem
Kam se kam kuchh bandagii ka haq adaa ho jaega

Jab Talak Zikr-e-Shaheed-e-Karbala mauood haii

Jab talak zikr-e-shaheede Karbela maujood haii
Gham se na darna ke har gham kii dawa maujood haii

Zindagii ke ek ek gham kii dawa ashq-e-azaa
Qabr kii manzil mein bhii khak-e-shiifa maujood haii

Maut kya jab Shah ke gham se raabeta maujood haii
Dhadkanei.n mar jaei.n aansoo kii sadaa maujood haii

Maut ki pachhai.n bhii inkey daaman par dikhaao
Maut ke maathey pa inkii gard-e-paa maujood haii

Daagh-e-maatam mai.n farishto.n ko dikhaa du.ngaa Naseem
Ye mere aamaal kaa poora pata maujood haii
Teeragi ko koii to diyaa chahyiye
yani har ek daur ko Karbala chahyiye

Dr. Naseem uz Zafar