Translate

loria.n deti hai maa

loria.n deti hai maa
so ja mere bezaba.n
ae mere tashna dahn
hay mere bezaba.n

aii mere aaram e jaan aii mere ghuncha dahen
chain se soja meri god me ae gulbadan
or hai ek shab ki baat kal subha padna hai run
phir kahan ye maan ki god phir kahan ye anjuman

loriyan detii hai maa
hay mere bezaban

yaad rahe aan baan subha ko jab run pade
jaan bhi jaae magar baat na ghar ki mite
khauf na khana zara teer e sitam jab chale
lab pe tabassum rahe muh me angutha rahe

loriyan deti hai maa.....................

sher ke bete ho tum nasl ho Jarrar ki
aao kahani suno Jafer-e-Tayyar ki
yaad shujayat rahe Haider-e-Karrar ki
jung ki doon lorian, lorian talwar ki

lorian deti hai maa...................

aan pada hai jo aaj ghairat-e-haq ka sawal
run me dikhana hai kal tumko Ali ka jalal
baap ka maqsad magar ho na kahi paymaal
jab pade gardan pe teer rukh pe na aaye malal

loriayan deti hai maa.n...................

kheme ke dar par khadi dekhegi maa raasta
laut'ta hai kis tarha run se ye bachha mera
baap ka fidya bana faqr ho maa ko siwa
khu.n me naha kar ke aao shukr e khuda ho adaa

lorian deti hai maa.......................

loriyo.n me raat bhar maut ki daawat rahi
subha talak aii Naseem ek nasiihat rahi
maut ka dar ho to kya jeene ki qeemat rahi
jurm hai jeena agar khud ki na izzat rahi

lorian deti hai maan
hai mere bezaban
aii mere tashna dahan
hai mere bezaban

posted by: zaigham murtaza

No comments:

Post a Comment

Teeragi ko koii to diyaa chahyiye
yani har ek daur ko Karbala chahyiye

Dr. Naseem uz Zafar