Translate

Abbas Ko Maqtal me rulao na Sakina



Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Jab khema-e-Sarvar ko jalane lage aada

Daaman me lagi aag to ghabrai Sakina

Ammu ko madad k liye ro-ro ke pukara

Tharrane laga Hazrat-e-Abbas ka laasha

Aayi ye nida hashr uthao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Sadma jo pade sabr kiya karte hain bibi

Kab Aal-e-Nabi gham se dara karte hain bibi

Mansha-e-Eilahi me jiya karte hain bibi

Kuch maut ke qanoon hua karte hain bibi

Manzil mein ajal ki hain bulao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Is waqt to qanoon-e-mashiyat se hain majboor

Majboor bhi kya paas-e-ajal hai hume manzoor

Bibi na do awaz ke manzil hai bahut door

Tum royii.n to ban jayenge ehsaas me nasoor

Dekho na tarai ki taraf aao sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Tum roti ho ammu pe aziyat hai ye bhari

Ab rooh tadapti hai musibat pe tumhari

Kano ka lahu po.nchho zara roko ye zaari

Nuqsan kahin jaan ko pahunche na mai wari

Daman me lagi aag bujhao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Hai yaad tumhari wo hame tashna dahani

Naadim hain ke saqqa bane aur laye na pani

Afsos ajal ne koi minnat hii na mani

Kaam ayi shuja'at hi na kaam aayi jawani

Us baar-e-nidamat ko badhao na sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Bahosh ho jazbat ki rau me nahii behena

Ta umr hai ab ranj-o-musibat tumhe sehena

Zainab meri shehzadi ki aghosh me rehna

Sharm aati hai bibi hume saqqa nahi kehna

Hum ko paa'e imdad bulao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Hum tadpenge bibi na kabhi ashk bahana

Dukha hua dil hai na ise aur dukhana

Ro-ro ke na faryad-o-fugha.n apni sunana

Dada ko Najaf se pa'e imdaad bulana

Karte hain madad hum bhi batao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina

Yaqiinan us ka nasab Fatema se milta hai


Yaqiinan us ka nasab Fatema se milta hai

Wo ek charagh jo hans kar hawa se milta hai


Wo sar hatheli pe rakh kar qaza se milta hai

Ali ka khoon hai, Ali ki ada se milta hai


Dikha rahe hain farishto ko rotiyan jibreel

Hame to rizq dar-e-fatima se milta hai


Udhar khuda ne bhi ki hai Ali ke lahje mein baat

Idhar Ali ka bhi lehja khuda se milta hai


Ye shah-rahe wilayat raah-e-shahadat hai

Ghadeer-o-khum ka pata Karbala se millta hai


Mujhe Ali ki shafa'at ka hai yaqiin aii "Naseem"

Yaqii.n bhi wo jo had-e-inteha se milta hai.
Teeragi ko koii to diyaa chahyiye
yani har ek daur ko Karbala chahyiye

Dr. Naseem uz Zafar