Translate

Shaakh-e-neza par khilaa kar phool ek inkaar ka

Shaakh-e-neza par khilaa kar phool ek inkaar ka
Zulm se kah de ke ab mausam gaya talwar ka

Hil gayii har mauj-e-darya chehra dekh kar jarrar ka
Aks paani se nahii sa.nbhla alambardar ka

Ab koii karta nahi hamse baiit ka sawal
Tajruba hai tegh-e-qatil ko bahattar baar ka

Hazrate-Ayyub raahe imtaha.n mei.n chaunk utthe
Shore hai aage ye kis zanjeer ki jhankaar ka

Sir qalam karne ka daawa thaa tujhe tegh-e-sitam
Ab saamna kartii nahii kyon ansuo.n ke waar ka

Karbala ka zikr hum karte rahenge aii Naseem
Dekein jhukta nahii sir kab tak har talwar ka

No comments:

Post a Comment

Teeragi ko koii to diyaa chahyiye
yani har ek daur ko Karbala chahyiye

Dr. Naseem uz Zafar