Translate

Chand Ash'ar


nusrate Sarwer ka jazba raushni dene laga,
shamma gul hote hi khaima roshni dene laga
subha hoti hai farishton ab dare Zehra pe aao
rizq le jao ke faqaa raushni dene laga
mal liya chehre pa Asgher ka lahu Shabbir ne
aur Abu Talib ka chehra roshni dene laga

________________________________



poocha jo Payamber se ke sar kyu nahi uthtaa
sajde me nayi bat ye kya aaj ui hai
farmaya Nabi ne hain meri pusht pe Shabbir
ye aaj muhe doosri meraj hui hai


Dr. Naseem Uz Zafar Baquari

Chand Ash'ar


Yusuf ka ashk-e-gham se bhala kya muqabla
Yusuf ki kitni baar to qeemat badal gayi
Yusuf se keh do Misr ke bazaar me na jaaein
Jaun aa gaye hain, shaher ki chahat badal gayi

___________________________________


Mafhum e azaan hai ki khuda sabse bada hai.

Suniye Ali Akbar se to kuch aur maza hai.
Gunjaish e shak hai na kisi bahes ki ja hai,
Jab kehte hain Shabbir khuda hai to khuda hai

___________________________________


maujo me talatum kabhi paiham nahi hota

dariya ko agar haarne ka gham nahi hota
hai kaun Alamdaar sare dasht e tasavvur
bazu hain qalam aur alam kham nahi hota

Dr. Naseem uz Zafar

Abbas Ko Maqtal me rulao na Sakina



Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Jab khema-e-Sarvar ko jalane lage aada

Daaman me lagi aag to ghabrai Sakina

Ammu ko madad k liye ro-ro ke pukara

Tharrane laga Hazrat-e-Abbas ka laasha

Aayi ye nida hashr uthao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Sadma jo pade sabr kiya karte hain bibi

Kab Aal-e-Nabi gham se dara karte hain bibi

Mansha-e-Eilahi me jiya karte hain bibi

Kuch maut ke qanoon hua karte hain bibi

Manzil mein ajal ki hain bulao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Is waqt to qanoon-e-mashiyat se hain majboor

Majboor bhi kya paas-e-ajal hai hume manzoor

Bibi na do awaz ke manzil hai bahut door

Tum royii.n to ban jayenge ehsaas me nasoor

Dekho na tarai ki taraf aao sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Tum roti ho ammu pe aziyat hai ye bhari

Ab rooh tadapti hai musibat pe tumhari

Kano ka lahu po.nchho zara roko ye zaari

Nuqsan kahin jaan ko pahunche na mai wari

Daman me lagi aag bujhao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Hai yaad tumhari wo hame tashna dahani

Naadim hain ke saqqa bane aur laye na pani

Afsos ajal ne koi minnat hii na mani

Kaam ayi shuja'at hi na kaam aayi jawani

Us baar-e-nidamat ko badhao na sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Bahosh ho jazbat ki rau me nahii behena

Ta umr hai ab ranj-o-musibat tumhe sehena

Zainab meri shehzadi ki aghosh me rehna

Sharm aati hai bibi hume saqqa nahi kehna

Hum ko paa'e imdad bulao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina


Hum tadpenge bibi na kabhi ashk bahana

Dukha hua dil hai na ise aur dukhana

Ro-ro ke na faryad-o-fugha.n apni sunana

Dada ko Najaf se pa'e imdaad bulana

Karte hain madad hum bhi batao na Sakina


Abbas ko maqtal me rulao na Sakina

Yaqiinan us ka nasab Fatema se milta hai


Yaqiinan us ka nasab Fatema se milta hai

Wo ek charagh jo hans kar hawa se milta hai


Wo sar hatheli pe rakh kar qaza se milta hai

Ali ka khoon hai, Ali ki ada se milta hai


Dikha rahe hain farishto ko rotiyan jibreel

Hame to rizq dar-e-fatima se milta hai


Udhar khuda ne bhi ki hai Ali ke lahje mein baat

Idhar Ali ka bhi lehja khuda se milta hai


Ye shah-rahe wilayat raah-e-shahadat hai

Ghadeer-o-khum ka pata Karbala se millta hai


Mujhe Ali ki shafa'at ka hai yaqiin aii "Naseem"

Yaqii.n bhi wo jo had-e-inteha se milta hai.

Nauha: Sughra koii naa Aayega


Sughra Koii naa Aayega... Sughra koii naa Aaega


kyon darwaaze par baiithi ho,

kis ka rastaa dekh rahii ho

bibii rastaa taktey taktey, tap badh jaaegaa


kyo.n baaba ko khat likhaa hai

khwab hameshaa dukh detaa hai

kunba haii majboor safar se, laut naa paaegaa

Sughra...


sochtii ho Akber aaye.nge

saath me apne le jaaye.nge

tum ko khabar haii bhaii jigar par, khanjer khayega

Sughra...


god khilaane kaa armaa.n haii

aiisa tasawwur me bhii kaha.n haii

teer e sitam aaker Asghar ka doodh badhaeygaa

Sughra...


dekh rahii ho aii shahzaadi

raato.N ko rotii hai.n daadi

chupke chupke bain koi to, rang dikhaeygaa

Sughra...


band karo ghar ka darwaaza

mat poochho kab aye.nge baba

beet gayi kya sun logii to, dil phat jaega

Sughra...


neg kii haii jo tum ko chaahat

kahtii haii roker ye qismat

Sughra teraa Akbar Sehraa baandh naa paega

Sughra...


maut ne baa.ndhaa khoon ka sehraa

tum ne gumaa bekaar ye rakhaa

maii jo naa hu.n Akbar ko dulhaa, kaun banaeyga

Sughra...


qaasid Akber ke sarhaane

sochh rahaa hai lautu.N kaiise

Akber ko jo poochh liyaa to, kyaa batlaeyga

Sughra...


zab'haa huye maqtal me Sarwar

pyaasa galaa thaa kund thaa khanjer

Qaatil unke sar ko shahar o.N, shahar ghumaegaa

Sughra...


Zainab or Kulsoom rasan me

za.njeerei.N hai.n aabid ke tan me

kaun tumhaare khat ko padh kar, jaan ga.nwaegaa

Siwa e gham koii mausam sada bahaar nahii


Siwa e gham koii mausam sada bahaar nahii
Gham na ho to khushii ka bhii aitbaar nahii

Haii Karbala me ajab maut aur hayat kii jung
Maut dhoo.ndhtii haii or nahei faraar nahii

Ali kii nasl kaha.n jo na maut se kheley
Wo charagh kya jinhe aandhii ka intezaar nahii

Hussain fatah ka meyaar hii badal daala
Jung haar gaye phir bhii haii ye haar nahii

Nyaz o Naaz Khuda se wahii wahii sajde
Hussein too to haii khanjar bhii be-waqar nahii

Hussein ke liye rakh do pisar kii qurbanii
Khaleel aap uthaa lein ye aiisa baar nahii

Sab ansuo.n kii sabiilein unhi ki pyas ke naam
Kisi furaat ka pyaso.n ko intezar nahii

Kab Ahl e Bait kii midhat ka ajr mangtaa hu.n
Naseem merii ibaadat haii kaarobar nahii
posted by: zaigham murtaza

aii zameer e aadmi tujh ko khuda ziinda rakhe

Aii zameer-e-aadmi tjhko Khuda zinda rakhe
wo kaha.n marte hai.n jin ko karbala zinda rakhe
zindagii kii jung me baazu kat bhii jaen to
Hunsla baaqi mera, mushkil kusha zinda rakhe
maut ye kah kar meri baali se waapas ho gayi
tum jiyo jab tak Ali e Murtaza zinda rakhe
Sahib e Nahj ul Balaghah itnii ilteja haii bus
teri beti shaam me, lehja tera zinda rakhe
qabr me rakh kar mujhe aziizo.n ne dua di ye Naseem
jaane waale jaa tujhe khak e shiifa zinda rakhe

posted by:zaigham murtaza

Har an.ble ko pa.nv kii raftaar bana de


Har an.ble ko pa.nv kii raftaar bana de
Ye Hau.nsla bedi ko naa biimar bana de

Ba.ndhii haii dua baazu pe Abbas kii maa ne
Ya rab isey pyaso.n ka alamdaar bana de

Haider kii tamanna haii he masoom ha.nsii ko
Asghar merii talwar kii jhankaar banaa de

Aii teghe sitam kaat rahii haii sar-e-Shabbir
Ha.n dam haii to inkaar ko iqraar bana de

Akbar ke kaleje se si'naa khee.ch ke maula
Is lamhe ko tareekh ka shahkar bana de

Is sar se buland ab koii sar ho nahii sakta
Ab nok-e-sina bas yahii meyar bana de

Aii ashq-e-gham-e-shah bus itna sa karam aur
Lehja mera fariyad haii lalkaar bana de

Ab sabr ye kehta haii darya pe na nazar kar
Dariya kii taraf pyas kii deewar banade


Israar gunaho.n pe to hargiz nahii lekin
Aii dil mujhe Hurr jaisa gunahgar bana de

Momin ko munafiq se Naseem aise juda rakh
Bus hubbey Ali beech kii deewar bana de

posted by : zaigham murtaza

Bhool Baitha kya ghuroor-e-zulm wo azm-e-safar


Bhool Baitha kya ghuroor-e-zulm wo azm-e-safar
Har qadam par anblo.n se poochhna zanjeer ka
Kaiinaat-e-sabr saari aa chukii zer-e-qadam
Kya safar baaqi haii ab bhii Abid-e-dilgeer ka

Keh ut.the chaudah muezzin ash’udan la ilah
Zulm muh takne laga Sajjad kii taqreer ka
Ke, ab se pahle kya kisii saffaq ne socha bhii tha
Sir kuchhal jaega ek a.nsoo hare k shamsheer ka

Shah ne Jehad-e-nafs ka manzar bana diia


Shah ne Jehad-e-nafs ka manzar bana diia
Mazloomiiat samet kar lashkaer banaa diia

Zainab ka khutba Na’ade Ali se to kam nahii
Bait ke sab khudao.n ko patther banaa diia

Zainab ki tarbiyat sab-e-ashur thii ajeeb
Bachho.n ko rat bhar me hi Haider bana diia

Ye dast’rez ye faiiz ye qud’rat Hussain kii
Jo ban’na chahte the bahatter banaa diia

Shah ne bahatter admi chun kar hare ek ko
Rah-e-baqa me meel ka patther bana diia

Zainab kii majise.n hai.n ke Zainab ke mauj’za
Qaidiyo.n ke ashq ashq ko khanjer banaa diia

Darbaar me jo jashn the qatl-e-Hussain kaa
Zainab ne jasn-e-marg-e-sitamger banaa diia
Teeragi ko koii to diyaa chahyiye
yani har ek daur ko Karbala chahyiye

Dr. Naseem uz Zafar