
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina
Jab khema-e-Sarvar ko jalane lage aada
Daaman me lagi aag to ghabrai Sakina
Ammu ko madad k liye ro-ro ke pukara
Tharrane laga Hazrat-e-Abbas ka laasha
Aayi ye nida hashr uthao na Sakina
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina
Sadma jo pade sabr kiya karte hain bibi
Kab Aal-e-Nabi gham se dara karte hain bibi
Mansha-e-Eilahi me jiya karte hain bibi
Kuch maut ke qanoon hua karte hain bibi
Manzil mein ajal ki hain bulao na Sakina
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina
Is waqt to qanoon-e-mashiyat se hain majboor
Majboor bhi kya paas-e-ajal hai hume manzoor
Bibi na do awaz ke manzil hai bahut door
Tum royii.n to ban jayenge ehsaas me nasoor
Dekho na tarai ki taraf aao sakina
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina
Tum roti ho ammu pe aziyat hai ye bhari
Ab rooh tadapti hai musibat pe tumhari
Kano ka lahu po.nchho zara roko ye zaari
Nuqsan kahin jaan ko pahunche na mai wari
Daman me lagi aag bujhao na Sakina
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina
Hai yaad tumhari wo hame tashna dahani
Naadim hain ke saqqa bane aur laye na pani
Afsos ajal ne koi minnat hii na mani
Kaam ayi shuja'at hi na kaam aayi jawani
Us baar-e-nidamat ko badhao na sakina
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina
Bahosh ho jazbat ki rau me nahii behena
Ta umr hai ab ranj-o-musibat tumhe sehena
Zainab meri shehzadi ki aghosh me rehna
Sharm aati hai bibi hume saqqa nahi kehna
Hum ko paa'e imdad bulao na Sakina
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina
Hum tadpenge bibi na kabhi ashk bahana
Dukha hua dil hai na ise aur dukhana
Ro-ro ke na faryad-o-fugha.n apni sunana
Dada ko Najaf se pa'e imdaad bulana
Karte hain madad hum bhi batao na Sakina
Abbas ko maqtal me rulao na Sakina